advertisement
Video Editor: Abhishek Sharma
In this episode of Urdunama, Fabeha Syed recites Nida Fazli’s nazm ‘bas yunhi jeetey raho, kuch na kaho’ .
The nazm could be understood as Fazli’s comment on those who are way too comfortable in their life to be making any political point on issues that matter.
The poem goes like this:
Bas yunhi jeetey raho
kuch na kaho
subh jab so ke utho
ghar ke afraad ki ginti kar lo
Taang par Taang rakhe roz ka akhbaar padho
'us jagah qaht gira'
'jang vahaan par barsi'
kitne mahfooz ho tum shukr karo
radio khol ke filmon ke naye geet suno
ghar se jab niklo to
shaam tak ke liye honthon mein tabassum si lo
donon hathon mein musaafe bhar lo
muhn mein kuch khokhle be-maani se jumle rakh lo
mukhtalif haathon mein sikkon ki tarah ghistey raho
kuch na kaho
ujli poshak
samaaji izzat
aur kya chahiye jeene ke liye
rose mil jaati hai peene ke liye
bas yunhi jeetey raho
kuch na kaho
(At The Quint, we question everything. Play an active role in shaping our journalism by becoming a member today.)