advertisement
Former Indian Prime Minister Atal Bihari Vajpayee wasn't only a politician. He was a man with command over poetry and oratory.
In this episode of Urdunama, we turn to his words that echo against wars – his poem, 'Jung Na Hone Denge'.
On Kargil Vijay Diwas, watch the video of Urdunama's Fabeha Syed reciting the iconic poem:
Hum jung na hone denge
Vishva-shanti ke hum saadhak hain jung na hone denge
Kabhi na kheton mein phir khooni khaad phalegi
Khaliyanon mein nahin maut ki fasl khulegi
Aasman phir kabhi na angaare uglega
Atom se Nagasaki phir nahin jalega
Yuddh-vihin vishv ka sapna bhang na hone denge
Jung na hone denge
Hathiyaron ke dheron par jin ka hai dera
Munh mein shanti baghal mein bam dhoke ka phera
Kafan bechne valon se keh do chilla kar
Duniya jaan gai hai un ka asli chehra
Kamyab ho un ki chaalein dhang na hone denge
Jung na hone denge
Humein chaahiye shanti zindagi hum ko pyari
Humein chaahiye shanti srijan ki hai tayyari
Hum ne chhedi jung bhookh se beemari se
Aage aa kar haath bataaye duniya saari
Hari-bhari dharti ko khooni rang na lene denge
Jung na hone denge
Bharat-Pakistan padosi saath-saath rahna hai
Pyaar karein ya vaar karein donon ko hi sahna hai
teen baar lad chuke ladaai kitna mehnga sauda
Roosi bam ho ya Amreeki khoon ek behna hai
Jo hum par guzri bachchon ke sang na hone denge
Jung na hone denge
(This piece was first published on 26 July 2021. It is being republished from The Quint's archives on the death anniversary of Atal Bihari Vajpayee)
(At The Quint, we question everything. Play an active role in shaping our journalism by becoming a member today.)